nasihat-garo dil lagaya to hota
nasīhat-garo dil lagāyā to hotā
kabhī ḳhanjar-e-ishq khāyā to hotā
na aatā ki aatā shikāyat na rahtī
mujhe anjuman meñ bulāyā to hotā
na mānūñgā nāseh ki dil par hai qaabū
lagā kar kisī se dikhāyā to hotā
ye maanā adū par hai mailān-e-ḳhātir
koī roz us ko satāyā to hotā
na aate to ḳhanjar hī vo bhej dete
ki ham ne gale se lagāyā to hotā
mirī saḳht-jānī ke shikve bajā the
kabhī dast-e-nāzuk uThāyā to hotā
'zahīr' aaj daavā hai jin ko zabāñ kā
suḳhan apnā un ko sunāyā to hotā
nasihat-garo dil lagaya to hota
kabhi KHanjar-e-ishq khaya to hota
na aata ki aata shikayat na rahti
mujhe anjuman mein bulaya to hota
na manunga naseh ki dil par hai qabu
laga kar kisi se dikhaya to hota
ye mana adu par hai mailan-e-KHatir
koi roz us ko sataya to hota
na aate to KHanjar hi wo bhej dete
ki hum ne gale se lagaya to hota
meri saKHt-jaani ke shikwe baja the
kabhi dast-e-nazuk uThaya to hota
'zahir' aaj dawa hai jin ko zaban ka
suKHan apna un ko sunaya to hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.