nasim-e-subh-e-bahaar aae dil-e-hazin ko qarar aae
nasīm-e-sub.h-e-bahār aa.e dil-e-hazīñ ko qarār aa.e
kalī kalī le ke muñh-añdhere sabāhat-e-rū-e-yār aa.e
udaas rātoñ kī tīrgī meñ na koī taarā na koī jugnū
kisī kā naqsh-e-qadam hī chamke to nuur kā e'tibār aa.e
ye sho.ala-sāmānī-e-takallum ye ā.ina-ḳhāna-e-tabassum
jigar se jaise dhuāñ sā uTThe nazar ko jaise ḳhumār aa.e
usī kī ḳhātir ḳhizāñ-zada dil ne jāma-e-chāk apnā badlā
ki jashn-e-jamhūr inqilāb-e-chaman kā ā.īna-dār aa.e
nasim-e-subh-e-bahaar aae dil-e-hazin ko qarar aae
kali kali le ke munh-andhere sabahat-e-ru-e-yar aae
udas raaton ki tirgi mein na koi tara na koi jugnu
kisi ka naqsh-e-qadam hi chamke to nur ka e'tibar aae
ye shoala-samani-e-takallum ye aaina-KHana-e-tabassum
jigar se jaise dhuan sa uTThe nazar ko jaise KHumar aae
usi ki KHatir KHizan-zada dil ne jama-e-chaak apna badla
ki jashn-e-jamhur inqilab-e-chaman ka aaina-dar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.