nasl ye jo rab se minnat mangti hai
nasl ye jo rab se minnat māñgtī hai
thoḌī mehnat bhī to qismat māñgtī hai
chubhtī hai āzādiyāñ us kī jahāñ ko
jab ik aurat haq kī daulat māñgtī hai
ik vafā do lafz tezī yaar kī sī
kuchh ziyāda kab mohabbat māñgtī hai
haq thā baabā pe na thī jab tak biyāhī
aane ko ghar ab ijāzat māñgtī hai
din ga.e jab ruuh kā rishta thī chāhat
ab mohabbat bhī nazākat māñgtī hai
nasl ye jo rab se minnat mangti hai
thoDi mehnat bhi to qismat mangti hai
chubhti hai aazadiyan us ki jahan ko
jab ek aurat haq ki daulat mangti hai
ek wafa do lafz tezi yar ki si
kuchh ziyaada kab mohabbat mangti hai
haq tha baba pe na thi jab tak biyahi
aane ko ghar ab ijazat mangti hai
din gae jab ruh ka rishta thi chahat
ab mohabbat bhi nazakat mangti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.