navā-e-zīst se miltī mirī navā to nahīñ
mirī navā meñ chhupī sī tirī sadā to nahīñ
sukūt naġhma-sarā.ī kā muntahā to nahīñ
ḳhamoshī shoḳh-bayānī kī ik sazā to nahīñ
kabhī na uljhe hoñ jis se kabhī na Takrā.e
dayār-e-dost meñ aisā koī bachā to nahīñ
udāsiyoñ meñ kamī se ḳhayāl aatā hai
ye ḳhalvateñ bhī tirī tarah bevafā to nahīñ
bas ek harf-e-tamannā bas ek harf-e-duā
hamārī tarah koī yaar se judā to nahīñ
nawa-e-zist se milti meri nawa to nahin
meri nawa mein chhupi si teri sada to nahin
sukut naghma-sarai ka muntaha to nahin
KHamoshi shoKH-bayani ki ek saza to nahin
kabhi na uljhe hon jis se kabhi na Takrae
dayar-e-dost mein aisa koi bacha to nahin
udasiyon mein kami se KHayal aata hai
ye KHalwaten bhi teri tarah bewafa to nahin
bas ek harf-e-tamanna bas ek harf-e-dua
hamari tarah koi yar se juda to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.