naya adab nae aadab kaun dekhega
nayā adab na.e ādāb kaun dekhegā
hamārā halqa-e-ahbāb kaun dekhegā
maiñ is ḳhayāl se do-chār huuñ ka.ī din se
tumhāre baad mire ḳhvāb kaun dekhegā
tumhāre hāthoñ parosā gayā mohabbat se
vo jām-e-jam hai ki tezāb kaun dekhegā
tumhāre banñe kī sab log daad deñge magar
mire bigaḌne ke asbāb kaun dekhegā
yahāñ sabhī haiñ tire jhiil se badan ke murīd
hamārī ruuh kā tālāb kaun dekhegā
masarratoñ ke charāġhoñ meñ nuur hai jab tak
kisī udāsī kā mehrāb kaun dekhegā
naya adab nae aadab kaun dekhega
hamara halqa-e-ahbab kaun dekhega
main is KHayal se do-chaar hun kai din se
tumhaare baad mere KHwab kaun dekhega
tumhaare hathon parosa gaya mohabbat se
wo jam-e-jam hai ki tezab kaun dekhega
tumhaare banne ki sab log dad denge magar
mere bigaDne ke asbab kaun dekhega
yahan sabhi hain tere jhil se badan ke murid
hamari ruh ka talab kaun dekhega
masarraton ke charaghon mein nur hai jab tak
kisi udasi ka mehrab kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.