naya adam koi nai hadon ka intiKHab ab
nayā adam koī na.ī hadoñ kā intiḳhāb ab
utaar luuñ maiñ ruḳh se ye davām kā naqāb ab
ham apnī zindagī ko ḳhud se duur le ke jā.eñge
ki phūTne hī vaalā hai ḳhalā kā ye habāb ab
janam na le sake tire bhañvar kī aañkh meñ to kyā
ham aur pāniyoñ meñ DhūñD leñge ik sarāb ab
sadā sukūt jo bhī chāhiye uThā le is ghaḌī
maiñ band kar rahā huuñ aise marhaloñ ke baab ab
jahāñ hai jo kahāñ hai vo jahāñ nahīñ hai sab vahīñ
tarāshne lagā huuñ kis tilism se maiñ ḳhvāb ab
jahāñ hai aks kā khañDar umaD paḌe haiñ sab udhar
'riyāz' ho rahā hai terā aa.ina ḳharāb ab
naya adam koi nai hadon ka intiKHab ab
utar lun main ruKH se ye dawam ka naqab ab
hum apni zindagi ko KHud se dur le ke jaenge
ki phuTne hi wala hai KHala ka ye habab ab
janam na le sake tere bhanwar ki aankh mein to kya
hum aur paniyon mein DhunD lenge ek sarab ab
sada sukut jo bhi chahiye uTha le is ghaDi
main band kar raha hun aise marhalon ke bab ab
jahan hai jo kahan hai wo jahan nahin hai sab wahin
tarashne laga hun kis tilism se main KHwab ab
jahan hai aks ka khanDar umaD paDe hain sab udhar
'riyaz' ho raha hai tera aaina KHarab ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.