naya fusun hi dikhaen koi zamane mein
nayā fusūñ hī dikhā.eñ koī zamāne meñ
charāġh mujh meñ jaleñ maiñ charāġh ḳhāne meñ
dhuāñ dhuāñ sī fazā se guzarne vaale log
ajiib shaġhl ke mālik haiñ āshiyāne meñ
maiñ iḳhtilāf nahīñ kar rahā magar mujh ko
nazar na aayā koī dīda-var zamāne meñ
ġhubār-e-rāh se niklegā shahsavār-e-ḳhayāl
use bhī shāmil-e-kirdār rakh fasāne meñ
ḳhud apnī gard se aTtī hai chashm-e-ḳhvāb-āsār
so mere haath kaTe aa.ina uThāne meñ
samundaroñ se ilāqa nahīñ magar 'jāved'
ye ham jo ḳharch hue kashtiyāñ banāne meñ
naya fusun hi dikhaen koi zamane mein
charagh mujh mein jalen main charagh KHane mein
dhuan dhuan si faza se guzarne wale log
ajib shaghl ke malik hain aashiyane mein
main iKHtilaf nahin kar raha magar mujh ko
nazar na aaya koi dida-war zamane mein
ghubar-e-rah se niklega shahsawar-e-KHayal
use bhi shamil-e-kirdar rakh fasane mein
KHud apni gard se aTti hai chashm-e-KHwab-asar
so mere hath kaTe aaina uThane mein
samundaron se ilaqa nahin magar 'jawed'
ye hum jo KHarch hue kashtiyan banane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.