Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya lahja naya manzar naya pindar ho paida

Qurban Aatish

naya lahja naya manzar naya pindar ho paida

Qurban Aatish

MORE BYQurban Aatish

    nayā lahja nayā manzar nayā pindār ho paidā

    mire naġhmoñ se aisī raunaq-e-gulzār ho paidā

    yahī thā maslahat-andesh mausam taqāzā kyā

    sadā-e-ḳhāmushī se ik na.ī guftār ho paidā

    bikhar jaatā hai sab shīrāza-e-amn-o-sukūñ āḳhir

    agar bastī meñ koī aadmī ḳhūñ-ḳhvār ho paidā

    kahāñ bardāsht ho saktā hai ye mujh se kisī sūrat

    samar pakne se pahle koī haqdār ho paidā

    hamesha chheḌtā huuñ saaz apne kohna zaḳhmoñ

    mire dil ke bayābāñ meñ koī gulzār ho paidā

    yahī maiñ chāhtā huuñ ai ġhazāla dasht-o-sahrā meñ

    ki ab mere junūñ se garmī-e-bāzār ho paidā

    mazāmīñ ġhaib se aate nahīñ 'ātish' to kyā kachche

    kahāñ se sher koī bhī mirā tah-dār ho paidā

    naya lahja naya manzar naya pindar ho paida

    mere naghmon se aisi raunaq-e-gulzar ho paida

    yahi tha maslahat-andesh mausam ka taqaza kya

    sada-e-KHamushi se ek nai guftar ho paida

    bikhar jata hai sab shiraaza-e-amn-o-sukun aaKHir

    agar basti mein koi aadmi KHun-KHwar ho paida

    kahan bardasht ho sakta hai ye mujh se kisi surat

    samar pakne se pahle hi koi haqdar ho paida

    hamesha chheDta hun saz apne kohna zaKHmon ka

    mere dil ke bayaban mein koi gulzar ho paida

    yahi main chahta hun ai ghazala dasht-o-sahra mein

    ki ab mere junun se garmi-e-bazar ho paida

    mazamin ghaib se aate nahin 'atish' to kya kachche

    kahan se sher koi bhi mera tah-dar ho paida

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now