naya manzar dikhaya ja raha hai
nayā manzar dikhāyā jā rahā hai
hameñ phir varġhalāyā jā rahā hai
hai dorāhe pe pyāre mulk apnā
nayā rāsta dikhāyā jā rahā hai
sitam-parvar ik andhā boltā hai
so gūñgoñ ko sunāyā jā rahā hai
kisī ke sar pe hai Topī kisī kī
kise rahbar batāyā jā rahā hai
sar-e-maqtal vahī the sar jhukā.e
jinheñ qātil batāyā jā rahā hai
talab meñ raushnī kī lā-muhāla
hamārā dil jalāyā jā rahā hai
ḳhamoshī se kyoñ 'dānish' sun rahe haiñ
ye kyā qissa sunāyā jā rahā hai
naya manzar dikhaya ja raha hai
hamein phir warghalaya ja raha hai
hai dorahe pe pyare mulk apna
naya rasta dikhaya ja raha hai
sitam-parwar ek andha bolta hai
so gungon ko sunaya ja raha hai
kisi ke sar pe hai Topi kisi ki
kise rahbar bataya ja raha hai
sar-e-maqtal wahi the sar jhukae
jinhen qatil bataya ja raha hai
talab mein raushni ki la-muhaala
hamara dil jalaya ja raha hai
KHamoshi se kyon 'danish' sun rahe hain
ye kya qissa sunaya ja raha hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.