naya paiman raushan kar gaya hai
nayā paimān raushan kar gayā hai
vo ātish-dān raushan kar gayā hai
koī tāq-e-nazar meñ sham.a rakh kar
dil-e-vīrān raushan kar gayā hai
ufuq par Dūbne vaalā sitārā
ka.ī imkān raushan kar gayā hai
mire kamre kā ik tārīk gosha
koī mehmān raushan kar gayā hai
mire dushman kā hai ehsān mujh par
mirī pahchān raushan kar gayā hai
bahut maddham sī thī āfāq kī lau
magar insān raushan kar gayā hai
naya paiman raushan kar gaya hai
wo aatish-dan raushan kar gaya hai
koi taq-e-nazar mein shama rakh kar
dil-e-viran raushan kar gaya hai
ufuq par Dubne wala sitara
kai imkan raushan kar gaya hai
mere kamre ka ek tarik gosha
koi mehman raushan kar gaya hai
mere dushman ka hai ehsan mujh par
meri pahchan raushan kar gaya hai
bahut maddham si thi aafaq ki lau
magar insan raushan kar gaya hai
- Book : Tasteer (Pg. 294)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : C-56,LDA Flats, Chanaab Block, Iqbaal Town, Lahore (Issue No. 9,10 July/August. 1999)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.