naya safar nai pagDanDiyan banati hun
nayā safar na.ī pagDanDiyāñ banātī huuñ
zamīñ kī ret se maiñ āsmāñ banātī huuñ
maiñ chāhtī huuñ mire saath vo baḌheñ aage
so dushmanoñ ke liye sīḌhiyāñ banātī huuñ
ab itnī hairatoñ se dekhte ho kyoñ is ko
banā sake na jo tum vo makāñ banātī huuñ
mujhe ḳhabar hai ki us bevafā kā muḳhbir hai
ye merā dil hai jise rāz-dāñ banātī huuñ
tumhārī yaad ke kamre meñ kuchh ghuTan sī hai
ruko maiñ is meñ kahīñ khiḌkiyāñ banātī huuñ
udaas laḌkiyāñ aa.eñ aur aa ke le jaa.eñ
maiñ un ke vāste bhī chūḌiyāñ banātī huuñ
kisī kī soch pe qadġhan nahīñ lagātī maiñ
dimāġh kholne kī chābiyāñ banātī huuñ
ye log kahte haiñ maiñ bhī 'ajīb laḌkī huuñ
ki dhuup kāTtī huuñ sā.ebāñ banātī huuñ
naya safar nai pagDanDiyan banati hun
zamin ki ret se main aasman banati hun
main chahti hun mere sath wo baDhen aage
so dushmanon ke liye siDhiyan banati hun
ab itni hairaton se dekhte ho kyon is ko
bana sake na jo tum wo makan banati hun
mujhe KHabar hai ki us bewafa ka muKHbir hai
ye mera dil hai jise raaz-dan banati hun
tumhaari yaad ke kamre mein kuchh ghuTan si hai
ruko main is mein kahin khiDkiyan banati hun
udas laDkiyan aaen aur aa ke le jaen
main un ke waste bhi chuDiyan banati hun
kisi ki soch pe qadghan nahin lagati main
dimagh kholne ki chabiyan banati hun
ye log kahte hain main bhi 'ajib laDki hun
ki dhup kaTti hun saeban banati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.