naya suraj naya dariya nai kashti banate hain
nayā sūraj nayā dariyā na.ī kashtī banāte haiñ
na.ī tasvīr meñ duniyā zarā mailī banāte haiñ
zarā sā cute kar dete haiñ andeshoñ ke bhūtoñ ko
magar ummīd kī pariyāñ zarā ugly banāte haiñ
mukammal soch lete haiñ chalo is baar phir tujh ko
chalo is baar bhī sūrat tirī aadhī banāte haiñ
yaqīnī baat hai bātin kī tārīkī na kam hogī
tasallī ke liye zāhir ko nūrānī banāte haiñ
jahāñ ḳhvāboñ kā kambal oḌh kar sotī haiñ āvāzeñ
vahīñ rātoñ meñ kuchh dīvāne ḳhāmoshī banāte haiñ
vo kankar pheñkte haiñ jhiil meñ kyā soch kar 'sābir'
fanā karte haiñ ḳhud ko yā ki lā-sānī banāte haiñ
naya suraj naya dariya nai kashti banate hain
nai taswir mein duniya zara maili banate hain
zara sa cute kar dete hain andeshon ke bhuton ko
magar ummid ki pariyan zara ugly banate hain
mukammal soch lete hain chalo is bar phir tujh ko
chalo is bar bhi surat teri aadhi banate hain
yaqini baat hai baatin ki tariki na kam hogi
tasalli ke liye zahir ko nurani banate hain
jahan KHwabon ka kambal oDh kar soti hain aawazen
wahin raaton mein kuchh diwane KHamoshi banate hain
wo kankar phenkte hain jhil mein kya soch kar 'sabir'
fana karte hain KHud ko ya ki la-sani banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.