naza mein pyar se kyun puchhte ho tum mujhko
naza.a meñ pyaar se kyuuñ pūchhte ho tum mujh ko
dam laboñ par hai nahīñ tāb-e-takallum mujh ko
qatl ġhusse meñ karo pher ke muñh tum mujh ko
dekhnā dekh na le chashm-e-tarahhum mujh ko
abhī bai.at maiñ karūñ dast-e-subū par saaqī
le chaleñ haath pakaḌ kar jo sū-e-ḳhum mujh ko
tab shab-e-vasl tirā shukr adā ho yārab
bahr-e-tasbīh mileñ dāna-e-anjum mujh ko
zarf aalī hai mirā arsh-e-barīñ par hai dimāġh
jaam ḳhurshīd kā gardūñ kā mile ḳhum mujh ko
naza mein pyar se kyun puchhte ho tum mujh ko
dam labon par hai nahin tab-e-takallum mujh ko
qatl ghusse mein karo pher ke munh tum mujh ko
dekhna dekh na le chashm-e-tarahhum mujh ko
abhi baiat main karun dast-e-subu par saqi
le chalen hath pakaD kar jo su-e-KHum mujh ko
tab shab-e-wasl tera shukr ada ho yarab
bahr-e-tasbih milen dana-e-anjum mujh ko
zarf aali hai mera arsh-e-barin par hai dimagh
jam KHurshid ka gardun ka mile KHum mujh ko
- Book : Aqa-e-sukhan waseem Khairabadi hayat aur karname (Pg. 263)
- Author : Waseem Khairabadi
- Publication : Farid Bilgrami, Bilgrami Building Miyan Sarai Khairabad sitapur (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.