nazar aane lage ho mehrban se
nazar aane lage ho mehrbāñ se
ye andāz aa ga.e tum meñ kahāñ se
kise raas aa.egī terī ḳhudā.ī
agar ham uTh ga.e bazm-e-jahāñ se
bharam khul jā.egā tere karam kā
agar kuchh kah diyā ham ne zabāñ se
kahāñ se aa gayā ye abr-e-rahmat
hameñ kuchh kaam thā barq-e-tapāñ se
jise dekho vahī matlab kā banda
mohabbat uTh ga.ī rū-e-jahāñ se
kareñge zikr tere husn kā bhī
agar fursat milī kār-e-jahāñ se
taḌaptī phir rahī hai barq ab tak
ulajh baiThī thī mere āshiyāñ se
yūñhī rotī nahīñ 'sābir' ko duniyā
use bhī ishq thā ahl-e-jahāñ se
nazar aane lage ho mehrban se
ye andaz aa gae tum mein kahan se
kise ras aaegi teri KHudai
agar hum uTh gae bazm-e-jahan se
bharam khul jaega tere karam ka
agar kuchh kah diya hum ne zaban se
kahan se aa gaya ye abr-e-rahmat
hamein kuchh kaam tha barq-e-tapan se
jise dekho wahi matlab ka banda
mohabbat uTh gai ru-e-jahan se
karenge zikr tere husn ka bhi
agar fursat mili kar-e-jahan se
taDapti phir rahi hai barq ab tak
ulajh baiThi thi mere aashiyan se
yunhi roti nahin 'sabir' ko duniya
use bhi ishq tha ahl-e-jahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.