nazar aate the hum ek dusre ko
nazar aate the ham ik dūsre ko
zamāne ko nazar aane se pahle
ta.ajjub hai ki is dhartī pe kuchh log
jiyā karte the mar jaane se pahle
muzayyan thī kisī ke ḳhāl-o-ḳhad se
hamārī shaam paimāne se pahle
garebāñ ke baTan pe ūñghtā thā
sitāra aañkh khul jaane se pahle
rahā kartā thā apne zo.am meñ vo
hamāre dhyān meñ aane se pahle
nazar aate the hum ek dusre ko
zamane ko nazar aane se pahle
tajjub hai ki is dharti pe kuchh log
jiya karte the mar jaane se pahle
muzayyan thi kisi ke KHal-o-KHad se
hamari sham paimane se pahle
gareban ke baTan pe unghta tha
sitara aankh khul jaane se pahle
raha karta tha apne zoam mein wo
hamare dhyan mein aane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.