nazar dekhte hain jigar dekhte hain
nazar dekhte haiñ jigar dekhte haiñ
tujhe har taraf jalva-gar dekhte haiñ
vo hañs kar adā se jidhar dekhte haiñ
zamāne ko zer-o-zabar dekhte haiñ
yahī haiñ jo ḳhud-bīniyāñ to tumhīñ ko
lagegī tumhārī nazar dekhte haiñ
rahī jab na paañv uThāne kī tāqat
khule aaj zindāñ ke dar dekhte haiñ
kahīñ aa bhī o sub.h-e-ummīd-e-ālam
tirī raah murġh-e-sahar dekhte haiñ
palaT kar vo aa.e haiñ mayyat se merī
yahī ḳhvāb ham raat bhar dekhte haiñ
jo mumkin nahīñ tere dar tak rasā.ī
to baiThe tirī rahguzar dekhte haiñ
kahīñ baaġh meñ gar bhaḌakte haiñ sho'le
to ghabrā ke ham bāl-o-par dekhte haiñ
chamakte haiñ jab āsmāñ par sitāre
to ham apne dāġh-e-jigar dekhte haiñ
nazar dekhte hain jigar dekhte hain
tujhe har taraf jalwa-gar dekhte hain
wo hans kar ada se jidhar dekhte hain
zamane ko zer-o-zabar dekhte hain
yahi hain jo KHud-biniyan to tumhin ko
lagegi tumhaari nazar dekhte hain
rahi jab na panw uThane ki taqat
khule aaj zindan ke dar dekhte hain
kahin aa bhi o subh-e-ummid-e-alam
teri rah murgh-e-sahar dekhte hain
palaT kar wo aae hain mayyat se meri
yahi KHwab hum raat bhar dekhte hain
jo mumkin nahin tere dar tak rasai
to baiThe teri rahguzar dekhte hain
kahin bagh mein gar bhaDakte hain sho'le
to ghabra ke hum baal-o-par dekhte hain
chamakte hain jab aasman par sitare
to hum apne dagh-e-jigar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.