nazar hai phir bhi nazaron mein ji nahin lagta
nazar hai phir bhī nazāroñ meñ jī nahīñ lagtā
udaas dil hai bahāroñ meñ jī nahīñ lagtā
makāñ hai baaġh hai mehmāñ haiñ dhuum hai bāhar
merā mizāj hazāroñ meñ jī nahīñ lagtā
na vo fazā hai na vo rang na vo tasvīreñ
vo kal ke pyāre dayāroñ meñ jī nahīñ lagtā
ye rāh-gīroñ ke chehre aziiz lagte haiñ
'mad.hosh' ab hameñ yāroñ meñ jī nahīñ lagtā
nazar hai phir bhi nazaron mein ji nahin lagta
udas dil hai bahaaron mein ji nahin lagta
makan hai bagh hai mehman hain dhum hai bahar
mera mizaj hazaron mein ji nahin lagta
na wo faza hai na wo rang na wo taswiren
wo kal ke pyare dayaron mein ji nahin lagta
ye rah-giron ke chehre aziz lagte hain
'madhosh' ab hamein yaron mein ji nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.