nazar hathiyar karna chahte hain
nazar hathiyār karnā chāhte haiñ
adā se vaar karnā chāhte haiñ
nigāheñ chaar karnā chāhte haiñ
tumheñ ham pyaar karnā chāhte haiñ
rahe haiñ sabr kī bastī meñ zinda
to ab iz.hār karnā chāhte haiñ
nigāheñ band kar lī haiñ ki jānāñ
tirā dīdār karnā chāhte haiñ
banā kar hausla patvār ab ham
samundar paar karnā chāhte haiñ
adākārī daġhā dene kī kar ke
tujhe hoshyār karnā chāhte haiñ
sunā kar dāstāñ tark-e-ta.alluq
zamīñ hamvār karnā chāhte haiñ
ridā-e-be-hisī oḌhe haiñ yaañ jo
unheñ bedār karnā chāhte haiñ
hileñge lafzoñ se aivān saare
qalam talvār karnā chāhte haiñ
giraftār-e-mohabbat kar ke 'aiman'
ġhazab sarkār karnā chāhte haiñ
nazar hathiyar karna chahte hain
ada se war karna chahte hain
nigahen chaar karna chahte hain
tumhein hum pyar karna chahte hain
rahe hain sabr ki basti mein zinda
to ab izhaar karna chahte hain
nigahen band kar li hain ki jaanan
tera didar karna chahte hain
bana kar hausla patwar ab hum
samundar par karna chahte hain
adakari dagha dene ki kar ke
tujhe hoshyar karna chahte hain
suna kar dastan tark-e-talluq
zamin hamwar karna chahte hain
rida-e-be-hisi oDhe hain yan jo
unhen bedar karna chahte hain
hilenge lafzon se aiwan sare
qalam talwar karna chahte hain
giraftar-e-mohabbat kar ke 'aiman'
ghazab sarkar karna chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.