nazar ka fikr ka fan ka ayagh raushan kar
nazar kā fikr kā fan kā ayāġh raushan kar
charāġh ba.ad meñ pahle dimāġh raushan kar
zamāne bhar ke sabhī raaz khul hī jā.eñge
abhī to jāda-e-dil kā surāġh raushan kar
ye sham.eñ kaam nahīñ ātīñ razm-gāhoñ meñ
yahāñ to apne lahū ke charāġh raushan kar
ghane añdhere meñ Duubī hai kā.enāt tirī
zamīñ pe lā ke falak ke charāġh raushan kar
yahī to ziist kā sarmāya haiñ ujaal inheñ
yahī haiñ umr kā hāsil ye daaġh raushan kar
nazar ka fikr ka fan ka ayagh raushan kar
charagh baad mein pahle dimagh raushan kar
zamane bhar ke sabhi raaz khul hi jaenge
abhi to jada-e-dil ka suragh raushan kar
ye shamen kaam nahin aatin razm-gahon mein
yahan to apne lahu ke charagh raushan kar
ghane andhere mein Dubi hai kaenat teri
zamin pe la ke falak ke charagh raushan kar
yahi to zist ka sarmaya hain ujal inhen
yahi hain umr ka hasil ye dagh raushan kar
- Book : Apne Ghar Tak Aa Pauhncha Hoon (Pg. 26)
- Author : Aslam Habib
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.