nazar ke pas rah kar bhi pahunch se dur ho jaana
nazar ke pas rah kar bhi pahunch se dur ho jaana
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
nazar ke paas rah kar bhī pahuñch se duur ho jaanā
mohabbat meñ ise kahte haiñ ham majbūr ho jaanā
ḳhushā ai dil mudāvā un ke zaḳhmoñ kā nahīñ varna
kahāñ har zaḳhm kī qismat meñ hai nāsūr ho jaanā
baḌhānā is tarah se be-qarārī aur bhī dil kī
jhalak ushshāq ko dikhlā ke phir mastūr ho jaanā
mohabbat kā hamārā dā.era bas ittibā.a tak hai
hameñ zebā nahīñ hai sarmad-o-mansūr ho jaanā
nazar chhalke na chhalke munhasir hai zarf par lekin
hai pahlī shart dil kā dard se māmūr ho jaanā
nazar ko tāb-e-nazzāra rahī hai tere jalvoñ kī
ki lāzim to nahīñ har jalva-gah kā tuur ho jaanā
tujhe pā lene kā ehsās is ko kahte haiñ shāyad
tire aariz ko chhū kar zulf kā maġhrūr ho jaanā
hameñ kyā raas aa.e bāda-o-sāġhar ki apnā to
nigāhoñ pe hai un kī munhasir maḳhmūr ho jaanā
libās-e-ḳhāk hī se jab mirī saarī fazīlat hai
to kyūñ-kar zeb hai mujh ko bhalā phir nuur ho jaanā
nazar ke pas rah kar bhi pahunch se dur ho jaana
mohabbat mein ise kahte hain hum majbur ho jaana
KHusha ai dil mudawa un ke zaKHmon ka nahin warna
kahan har zaKHm ki qismat mein hai nasur ho jaana
baDhana is tarah se be-qarari aur bhi dil ki
jhalak ushshaq ko dikhla ke phir mastur ho jaana
mohabbat ka hamara daera bas ittibaa tak hai
hamein zeba nahin hai sarmad-o-mansur ho jaana
nazar chhalke na chhalke munhasir hai zarf par lekin
hai pahli shart dil ka dard se mamur ho jaana
nazar ko tab-e-nazzara rahi hai tere jalwon ki
ki lazim to nahin har jalwa-gah ka tur ho jaana
tujhe pa lene ka ehsas is ko kahte hain shayad
tere aariz ko chhu kar zulf ka maghrur ho jaana
hamein kya ras aae baada-o-saghar ki apna to
nigahon pe hai un ki munhasir maKHmur ho jaana
libas-e-KHak hi se jab meri sari fazilat hai
to kyun-kar zeb hai mujh ko bhala phir nur ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.