nazar ke samne husn-e-bahaar rahne de
nazar ke sāmne husn-e-bahār rahne de
jamāl-e-dīd ko parvar-digār rahne de
savāl-e-shauq kā koī javāb ho ki na ho
hamāre dil meñ umīdeñ hazār rahne de
na dekh hadd-e-nazar duur tak samundar hai
rifāqateñ abhī sāhil ke paar rahne de
karam-shi.ār na the mo'atabar nahīñ Thahre
so aaj ham ko zarā dil-figār rahne de
ye chāñd roz na.e ḳhvāb kyoñ dikhāne lagā
bas ek ḳhvāb nigāhoñ pe baar rahne de
jo sozish-e-lab-e-jāñ mustaqil navā-gar ho
to phir kahāñ koī ġham musta.ār rahne de
'nasīm' ab to ye māhaul raas aaya hai
ḳhudā kare tū ise sāzgār rahne de
nazar ke samne husn-e-bahaar rahne de
jamal-e-did ko parwar-digar rahne de
sawal-e-shauq ka koi jawab ho ki na ho
hamare dil mein umiden hazar rahne de
na dekh hadd-e-nazar dur tak samundar hai
rifaqaten abhi sahil ke par rahne de
karam-shiar na the mo'atabar nahin Thahre
so aaj hum ko zara dil-figar rahne de
ye chand roz nae KHwab kyon dikhane laga
bas ek KHwab nigahon pe bar rahne de
jo sozish-e-lab-e-jaan mustaqil nawa-gar ho
to phir kahan koi gham mustaar rahne de
'nasim' ab to ye mahaul ras aaya hai
KHuda kare tu ise sazgar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.