nazar KHamosh hui arz-e-na-tamam ke baad
nazar ḳhamosh huī arz-e-nā-tamām ke ba.ad
kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalām ke ba.ad
ye muġhbache tire saaqī abhī haiñ ḳhīra bahut
har ek jām-e-tahī aur salā-e-ām ke ba.ad
bas itnī baat ke kyā kyā haiñ bazm meñ charche
vo muskurā se diye the mire salām ke ba.ad
namāz-e-jām paḌhī shaiḳh ne nahīñ lekin
ajab sā nuur hai ruḳh par tulū-e-shām ke ba.ad
har ik nazā.a kā hal intiqām hī hai abhī
magar savāl to ye hai ki intiqām ke ba.ad
ye lag rahā hai ki jaise bichhaḌ rahī hai hayāt
palaT palaT ke nigāheñ haiñ gaam gaam ke ba.ad
kisī mahal kisī vaadī kisī chaman meñ nahīñ
vo gul jo dil meñ mahaktā hai nek kaam ke ba.ad
ġhurūr-e-tishna-sāqī bhī hai koī shai saaqī
taqāzā ham nahīñ karne ke jaam jaam ke ba.ad
ye sach nahīñ ki mire dil meñ aur naam nahīñ
magar ye sach hai ki ye sab haiñ tere naam ke ba.ad
hai ziist ziist usī kī ki jis ke baazū ko
urūh-e-sub.h bhī DhūñDe nigār-e-shām ke ba.ad
badaltī qadroñ meñ kuchh huuñ ki kuchh nahīñ 'mullā'
savāliya sā nishāñ huuñ ḳhud apne naam ke ba.ad
nazar KHamosh hui arz-e-na-tamam ke baad
kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalam ke baad
ye mughbache tere saqi abhi hain KHira bahut
har ek jam-e-tahi aur sala-e-am ke baad
bas itni baat ke kya kya hain bazm mein charche
wo muskura se diye the mere salam ke baad
namaz-e-jam paDhi shaiKH ne nahin lekin
ajab sa nur hai ruKH par tulu-e-sham ke baad
har ek nazaa ka hal intiqam hi hai abhi
magar sawal to ye hai ki intiqam ke baad
ye lag raha hai ki jaise bichhaD rahi hai hayat
palaT palaT ke nigahen hain gam gam ke baad
kisi mahal kisi wadi kisi chaman mein nahin
wo gul jo dil mein mahakta hai nek kaam ke baad
ghurur-e-tishna-saqi bhi hai koi shai saqi
taqaza hum nahin karne ke jam jam ke baad
ye sach nahin ki mere dil mein aur nam nahin
magar ye sach hai ki ye sab hain tere nam ke baad
hai zist zist usi ki ki jis ke bazu ko
uruh-e-subh bhi DhunDe nigar-e-sham ke baad
badalti qadron mein kuchh hun ki kuchh nahin 'mulla'
sawaliya sa nishan hun KHud apne nam ke baad
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 652)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.