nazar ki baat pahunchegi nazar tak
nazar kī baat pahuñchegī nazar tak
uḌegī dhuul phir dīvār-o-dar tak
koī manzil tasavvur hī hai shāyad
safar koī ho pahuñchegā safar tak
abhī ik buuñd chupke se girī hai
koī aayā thā shāyad chashm-e-tar tak
mare jab ham koī charchā na niklā
mire qātil hī pahuñche the ḳhabar tak
vo vāpas phir zamīñ par lauTtī haiñ
jo rāheñ le ke jaatī haiñ sikhar tak
bhale lambī ho ġham kī raat kitnī
koī bhī raat rahtī hai sahar tak
nazar ki baat pahunchegi nazar tak
uDegi dhul phir diwar-o-dar tak
koi manzil tasawwur hi hai shayad
safar koi ho pahunchega safar tak
abhi ek bund chupke se giri hai
koi aaya tha shayad chashm-e-tar tak
mare jab hum koi charcha na nikla
mere qatil hi pahunche the KHabar tak
wo wapas phir zamin par lauTti hain
jo rahen le ke jati hain sikhar tak
bhale lambi ho gham ki raat kitni
koi bhi raat rahti hai sahar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.