nazar ki zad mein sar koi nahin hai
nazar kī zad meñ sar koī nahīñ hai
fasīl-e-shahr par koī nahīñ hai
bahut muḳhlis haiñ us ke gaañv vaale
paḌhā-likkhā magar koī nahīñ hai
ḳhabar ik ghar ke jalne kī hai lekin
bachā bastī meñ ghar koī nahīñ hai
kahīñ jaa.eñ kisī bhī vaqt aa.eñ
baḌoñ kā dil meñ Dar koī nahīñ hai
mujhe ḳhud TuuT kar vo chāhtā hai
mirā is meñ hunar koī nahīñ hai
ham apne saath jaa.eñ bhī kahāñ tak
hamārā ham-safar koī nahīñ hai
abhī āñdhī pe 'az.har' tabsire haiñ
charāġhoñ kī ḳhabar koī nahīñ hai
nazar ki zad mein sar koi nahin hai
fasil-e-shahr par koi nahin hai
bahut muKHlis hain us ke ganw wale
paDha-likkha magar koi nahin hai
KHabar ek ghar ke jalne ki hai lekin
bacha basti mein ghar koi nahin hai
kahin jaen kisi bhi waqt aaen
baDon ka dil mein Dar koi nahin hai
mujhe KHud TuT kar wo chahta hai
mera is mein hunar koi nahin hai
hum apne sath jaen bhi kahan tak
hamara ham-safar koi nahin hai
abhi aandhi pe 'azhar' tabsire hain
charaghon ki KHabar koi nahin hai
- Book : Jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 30)
- Author : azhar inaayatii
- Publication : islamic wonders bureau (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.