nazar mein har dushwari rakh
nazar meñ har dushvārī rakh
ḳhvāboñ meñ bedārī rakh
duniyā se jhuk kar mat mil
rishtoñ meñ hamvārī rakh
soch samajh kar bāteñ kar
lafzoñ meñ tahdārī rakh
fuTpāthoñ par chain se so
ghar meñ shab-bedārī rakh
tū bhī sab jaisā ban jā
biich meñ duniyā-dārī rakh
ek ḳhabar hai tere liye
dil par patthar bhārī rakh
ḳhālī haath nikal ghar se
zād-e-safar hushyārī rakh
sher sunā aur bhūkā mar
is ḳhidmat ko jaarī rakh
nazar mein har dushwari rakh
KHwabon mein bedari rakh
duniya se jhuk kar mat mil
rishton mein hamwari rakh
soch samajh kar baaten kar
lafzon mein tahdari rakh
fuTpathon par chain se so
ghar mein shab-bedari rakh
tu bhi sab jaisa ban ja
bich mein duniya-dari rakh
ek KHabar hai tere liye
dil par patthar bhaari rakh
KHali hath nikal ghar se
zad-e-safar hushyari rakh
sher suna aur bhuka mar
is KHidmat ko jari rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.