nazar mein husn ka tufan sama nahin sakta
nazar meñ husn kā tūfāñ samā nahīñ saktā
maiñ apne ḳhvāb se dāman chhuḌā nahīñ saktā
nigār raqs meñ hai aur bahār zoroñ par
magar ġharīb kā dil muskurā nahīñ saktā
mujhe hai apne muqaddar pe itnī hī qudrat
bigāḌ saktā huuñ is ko banā nahīñ saktā
bahut aziiz hai mujh ko matā.a-e-ijz-o-ḳhulūs
nahīñ nahīñ maiñ ye daulat luTā nahīñ saktā
ḳhulūs ahl-e-riyā se na bartā jā.egā
ba-ijz sab se to maiñ pesh aa nahīñ saktā
nazar mein husn ka tufan sama nahin sakta
main apne KHwab se daman chhuDa nahin sakta
nigar raqs mein hai aur bahaar zoron par
magar gharib ka dil muskura nahin sakta
mujhe hai apne muqaddar pe itni hi qudrat
bigaD sakta hun is ko bana nahin sakta
bahut aziz hai mujh ko mataa-e-ijz-o-KHulus
nahin nahin main ye daulat luTa nahin sakta
KHulus ahl-e-riya se na barta jaega
ba-ijz sab se to main pesh aa nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.