nazar mein pyar dilon mein mohabbaten rakhna
nazar meñ pyaar diloñ meñ mohabbateñ rakhnā
kisī dayār meñ rahnā sadāqateñ rakhnā
judā.ī pheñk na de dard ke samundar meñ
ta.alluqāt rakho to rifāqateñ rakhnā
ham apne paas yaqīnoñ ke taaj rakhte haiñ
hameñ pasand nahīñ hai zarūrateñ rakhnā
abhī hayāt ke shajre meñ kuchh mahāz bhī haiñ
hamārī nasl ke aage shujā.ateñ rakhnā
ye zarq-barq libāsoñ se kuchh nahīñ hogā
jo rakh sako to gharoñ meñ tilāvateñ rakhnā
nazar mein pyar dilon mein mohabbaten rakhna
kisi dayar mein rahna sadaqaten rakhna
judai phenk na de dard ke samundar mein
talluqat rakho to rifaqaten rakhna
hum apne pas yaqinon ke taj rakhte hain
hamein pasand nahin hai zaruraten rakhna
abhi hayat ke shajre mein kuchh mahaz bhi hain
hamari nasl ke aage shujaaten rakhna
ye zarq-barq libason se kuchh nahin hoga
jo rakh sako to gharon mein tilawaten rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.