nazar mein sab ki meri be-KHudi ka aalam hai
nazar meñ sab kī mirī be-ḳhudī kā aalam hai
kise ḳhabar ki baḌī bebasī kā aalam hai
ajiib shai hai ye nairañgī-e-zamāna bhī
kisī kā koī nahīñ hai kisī kā aalam hai
maiñ ab haqīqat-e-duniyā samajh gayā shāyad
ḳhud apne aap se begānagī kā aalam hai
har ek dekh rahā hai mire tabassum ko
kise ḳhabar jo mirī zindagī kā aalam hai
mujhe aziiz hai ab yuuñ 'ra.īs' nākāmī
sunā hai ġham se guzar kar ḳhushī kā aalam hai
nazar mein sab ki meri be-KHudi ka aalam hai
kise KHabar ki baDi bebasi ka aalam hai
ajib shai hai ye nairangi-e-zamana bhi
kisi ka koi nahin hai kisi ka aalam hai
main ab haqiqat-e-duniya samajh gaya shayad
KHud apne aap se beganagi ka aalam hai
har ek dekh raha hai mere tabassum ko
kise KHabar jo meri zindagi ka aalam hai
mujhe aziz hai ab yun 'rais' nakaami
suna hai gham se guzar kar KHushi ka aalam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.