nazar mein shaiba-e-husn-e-yar aa jae
nazar meñ shā.iba-e-husn-e-yār aa jaa.e
jidhar nigāh uThā duuñ bahār aa jaa.e
batāte haiñ tire kūche meñ merī ḳhair ahbāb
mirī taraf se na dil meñ ġhubār aa jaa.e
mirī lahad pe raqīboñ ne sang-e-rāh likhā
tumhāre dil meñ na koī ġhubār aa jaa.e
musir haiñ is pe vafā.eñ mirī ki ab turbat
bagūlā ban ke sar-e-rāh-e-yār aa jaa.e
dikhā na sāqī-e-roz-e-azal mujhe ik din
kahīñ na zindagī bhar ko ḳhumār aa jaa.e
jagāne qabr pe gar roz-e-hashr vo aa.eñ
to lutf-e-gardish-e-lail-o-nahār aa jaa.e
ilāhī hañs paḌe dozaḳh bhī terī rahmat par
sameTūñ aag to bāġh-o-bahār aa jaa.e
talab to ho dil-e-āshiq se kyā nahīñ mumkin
ye gar ba-zid ho to parvardigār aa jaa.e
vahīñ talāsh karo jalva-gāh-e-nāz 'qadīr'
nazar jahāñ vo dil-e-dāġh-dār aa jaa.e
nazar mein shaiba-e-husn-e-yar aa jae
jidhar nigah uTha dun bahaar aa jae
batate hain tere kuche mein meri KHair ahbab
meri taraf se na dil mein ghubar aa jae
meri lahad pe raqibon ne sang-e-rah likha
tumhaare dil mein na koi ghubar aa jae
musir hain is pe wafaen meri ki ab turbat
bagula ban ke sar-e-rah-e-yar aa jae
dikha na saqi-e-roz-e-azal mujhe ek din
kahin na zindagi bhar ko KHumar aa jae
jagane qabr pe gar roz-e-hashr wo aaen
to lutf-e-gardish-e-lail-o-nahaar aa jae
ilahi hans paDe dozaKH bhi teri rahmat par
sameTun aag to bagh-o-bahaar aa jae
talab to ho dil-e-ashiq se kya nahin mumkin
ye gar ba-zid ho to parwardigar aa jae
wahin talash karo jalwa-gah-e-naz 'qadir'
nazar jahan wo dil-e-dagh-dar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.