nazar mila na sake us se is nigah ke baad
nazar milā na sake us se is nigāh ke baa'd
vahī hai haal hamārā jo ho gunāh ke baa'd
maiñ kaise aur kisī samt moḌtā ḳhud ko
kisī kī chaah na thī dil meñ terī chaah ke baa'd
havas ne toḌ dī barsoñ kī sādhnā merī
gunāh kyā hai ye jaanā magar gunāh ke baa'd
zamīr kaañp to jaatā hai aap kuchh bhī kaheñ
vo ho gunāh se pahle ki ho gunāh ke baa'd
kaTī huī thiiñ tanābeñ tamām rishtoñ kī
chhupātā sar maiñ kahāñ tujh se rasm-o-rāh ke baa'd
gavāh chaah rahe the vo be-gunāhī kā
zabāñ se kah na sakā kuchh ḳhudā gavāh ke baa'd
nazar mila na sake us se is nigah ke ba'd
wahi hai haal hamara jo ho gunah ke ba'd
main kaise aur kisi samt moDta KHud ko
kisi ki chah na thi dil mein teri chah ke ba'd
hawas ne toD di barson ki sadhna meri
gunah kya hai ye jaana magar gunah ke ba'd
zamir kanp to jata hai aap kuchh bhi kahen
wo ho gunah se pahle ki ho gunah ke ba'd
kaTi hui thin tanaben tamam rishton ki
chhupata sar main kahan tujh se rasm-o-rah ke ba'd
gawah chah rahe the wo be-gunahi ka
zaban se kah na saka kuchh KHuda gawah ke ba'd
- Book : Junoon (Pg. 190)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.