nazar milate hi sara waqar kho baiThi
nazar milāte hī saarā vaqār kho baiThī
tamām umr kā maiñ e'tibār kho baiThī
kisī se dil ke lagāne kā ye huā anjām
sukūn chhin gayā sabr-o-qarār kho baiThī
ujālā ho to gayā soz-e-āh se lekin
jo kuchh thā lutf-e-shab-e-intizār kho baiThī
uThā.ī jab na ga.iiñ saḳhtiyāñ mohabbat kī
huā ye hashr ki maiñ jān-e-zār kho baiThī
girī jo barq-e-alam dil ke jal ga.e armāñ
chaman ke saath chaman kī bahār kho baiThī
bahār-e-ālam-e-fānī se dil lagā ke 'tarab'
matā.a-e-jalva-e-husn-e-nigār kho baiThī
nazar milate hi sara waqar kho baiThi
tamam umr ka main e'tibar kho baiThi
kisi se dil ke lagane ka ye hua anjam
sukun chhin gaya sabr-o-qarar kho baiThi
ujala ho to gaya soz-e-ah se lekin
jo kuchh tha lutf-e-shab-e-intizar kho baiThi
uThai jab na gain saKHtiyan mohabbat ki
hua ye hashr ki main jaan-e-zar kho baiThi
giri jo barq-e-alam dil ke jal gae arman
chaman ke sath chaman ki bahaar kho baiThi
bahaar-e-alam-e-fani se dil laga ke 'tarab'
mataa-e-jalwa-e-husn-e-nigar kho baiThi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.