nazar-navāz nazāroñ meñ jī nahīñ lagtā
vo kyā ga.e ki bahāroñ meñ jī nahīñ lagtā
shab-e-firāq ko ai chāñd aa ke chamkā de
nazar udaas hai tāroñ meñ jī nahīñ lagtā
ġham-e-hayāt ke maare to ham bhī haiñ lekin
ġham-e-hayāt ke māroñ meñ jī nahīñ lagtā
na pūchh mujh se tire ġham meñ kyā guzartī hai
yahī kahūñgā hazāroñ meñ jī nahīñ lagtā
kuchh is qadar hai ġham-e-zindagī se dil māyūs
ḳhizāñ ga.ī to bahāroñ meñ jī nahīñ lagtā
fasāna-e-shab-e-ġham ḳhatm hone vaalā hai
'shakīl' chāñd sitāroñ meñ jī nahīñ lagtā
nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta
wo kya gae ki bahaaron mein ji nahin lagta
shab-e-firaq ko ai chand aa ke chamka de
nazar udas hai taron mein ji nahin lagta
gham-e-hayat ke mare to hum bhi hain lekin
gham-e-hayat ke maron mein ji nahin lagta
na puchh mujh se tere gham mein kya guzarti hai
yahi kahunga hazaron mein ji nahin lagta
kuchh is qadar hai gham-e-zindagi se dil mayus
KHizan gai to bahaaron mein ji nahin lagta
fasana-e-shab-e-gham KHatm hone wala hai
'shakil' chand sitaron mein ji nahin lagta
Videos
This video is playing from YouTube
Shanti Hiranand
nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta
Nomaan Shauque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.