nazar nazar hairani de
nazar nazar hairānī de
mujh ko merā saanī de
jugnū phuul sitāra chāñd
apnī koī nishānī de
insānoñ ko daanā kar
thoḌī sī nādānī de
har chehra be-rañgat hai
shakl koī nūrānī de
tere bachche pyāse haiñ
in paudoñ ko paanī de
rāvan raat jagātā hai
koī rām-kahānī de
mujh ko mujh se duur na rakh
milne kī āsānī de
sāhil sāhil tishna-labī
dariyā ko tuġhyānī de
nazar nazar hairani de
mujh ko mera sani de
jugnu phul sitara chand
apni koi nishani de
insanon ko dana kar
thoDi si nadani de
har chehra be-rangat hai
shakl koi nurani de
tere bachche pyase hain
in paudon ko pani de
rawan raat jagata hai
koi ram-kahani de
mujh ko mujh se dur na rakh
milne ki aasani de
sahil sahil tishna-labi
dariya ko tughyani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.