nazar nazar mein taqaza zarur hota hai
nazar nazar meñ taqāzā zarūr hotā hai
chhupā huā koī jazba zarūr hotā hai
kabhī vo sāmne hote kabhī nahīñ hote
tasavvurāt meñ dhokā zarūr hotā hai
nahīñ kuchh is kā kisī ahl-e-ġham ko andāza
ki bojh baḌhne se halkā zarūr hotā hai
kahīñ zarā bhī banāvaT nazar nahīñ aatī
tire sitam meñ salīqa zarūr hotā hai
ajiib shai hai zamāne meñ ḳhuun kā rishta
ki ġhair ho ke bhī apnā zarūr hotā hai
ye aur baat ḳhalish us kī dil meñ rah jaa.e
koī bhī zaḳhm ho achchhā zarūr hotā hai
Dhaleñgī nuur meñ 'iqbāl' zulmateñ ik din
tavīl shab kā saverā zarūr hotā hai
nazar nazar mein taqaza zarur hota hai
chhupa hua koi jazba zarur hota hai
kabhi wo samne hote kabhi nahin hote
tasawwuraat mein dhoka zarur hota hai
nahin kuchh is ka kisi ahl-e-gham ko andaza
ki bojh baDhne se halka zarur hota hai
kahin zara bhi banawaT nazar nahin aati
tere sitam mein saliqa zarur hota hai
ajib shai hai zamane mein KHun ka rishta
ki ghair ho ke bhi apna zarur hota hai
ye aur baat KHalish us ki dil mein rah jae
koi bhi zaKHm ho achchha zarur hota hai
Dhalengi nur mein 'iqbaal' zulmaten ek din
tawil shab ka sawera zarur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.