nazar nazar se milao hijab kya mani
nazar nazar se milāo hijāb kyā ma.anī
niyāz-e-ishq se ye ijtināb kyā ma.anī
chuneñge ek mujhī ko vo har sitam ke liye
ḳhatā kare nazar-e-intiḳhāb kyā ma.anī
ġharaz hī kyā thī tamāshā-e-dahr se tum ko
ab aa.e ho to ye ruḳh par naqāb kyā ma.anī
vaqār-e-mehr-o-vafā ko to sar-nigūñ na karo
har ik savāl kā ulTā javāb kyā ma.anī
mirī nazar hī se ye ehtiyāt hai varna
naqāb ke liye band-e-naqāb kyā ma.anī
had-e-shumār se bāhar haiñ jab gunāh mire
hisāb ke liye yuuñ be-hisāb kyā ma.anī
sukūn-e-dil to jahāñ meñ kahīñ nahīñ ai 'josh'
phir is sukūñ ke liye iztirāb kyā ma.anī
nazar nazar se milao hijab kya mani
niyaz-e-ishq se ye ijtinab kya mani
chunenge ek mujhi ko wo har sitam ke liye
KHata kare nazar-e-intiKHab kya mani
gharaz hi kya thi tamasha-e-dahr se tum ko
ab aae ho to ye ruKH par naqab kya mani
waqar-e-mehr-o-wafa ko to sar-nigun na karo
har ek sawal ka ulTa jawab kya mani
meri nazar hi se ye ehtiyat hai warna
naqab ke liye band-e-naqab kya mani
had-e-shumar se bahar hain jab gunah mere
hisab ke liye yun be-hisab kya mani
sukun-e-dil to jahan mein kahin nahin ai 'josh'
phir is sukun ke liye iztirab kya mani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.