nazar sab ki hawas ka ek makan hai
nazar sab kī havas kā ik makāñ hai
yahāñ korā badan miltā kahāñ hai
zamāne kā asar hai ye bhī shāyad
mirī āvāz mujh se bad-gumāñ hai
jahāñ bachpan ko hañstā chhoḌ aa.e
vahāñ yādoñ kā ab bargad javāñ hai
anā kī jang jītūñ ab ki hārūñ
ki har hālat meñ merā hī ziyāñ hai
mujhī meñ DhūñDh lo mil jaa.e shāyad
'sadaf' ko pūchhte ho tum kahāñ hai
nazar sab ki hawas ka ek makan hai
yahan kora badan milta kahan hai
zamane ka asar hai ye bhi shayad
meri aawaz mujh se bad-guman hai
jahan bachpan ko hansta chhoD aae
wahan yaadon ka ab bargad jawan hai
ana ki jang jitun ab ki haarun
ki har haalat mein mera hi ziyan hai
mujhi mein DhunDh lo mil jae shayad
'sadaf' ko puchhte ho tum kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.