nazar se nam na gaya ruh se kasak na gai
nazar se nam na gayā ruuh se kasak na ga.ī
badan se jab tak udāsī mirī chhalak na ga.ī
mirī to aah bhī shāyad havā se bhārī hai
zamīn tak hī rahī āsmān tak na ga.ī
maiñ sochtā rahā jab tak dimāġh shal na huā
maiñ dekhtā rahā jab tak nigāh thak na ga.ī
vo barshgāl kahīñ hāfize meñ rah ga.ī hai
ghaTā baras ga.ī lekin garaj chamak na ga.ī
kiran ne sabze bhare baaġh se guzar nā kiyā
ki jab tak os ke qatroñ se raah Dhak na ga.ī
maiñ tujh se kaT ke jalā shāḳh-e-sandalīñ kī tarah
maiñ raakh ho gayā mujh se tirī mahak na ga.ī
nazar se nam na gaya ruh se kasak na gai
badan se jab tak udasi meri chhalak na gai
meri to aah bhi shayad hawa se bhaari hai
zamin tak hi rahi aasman tak na gai
main sochta raha jab tak dimagh shal na hua
main dekhta raha jab tak nigah thak na gai
wo barshgal kahin hafize mein rah gai hai
ghaTa baras gai lekin garaj chamak na gai
kiran ne sabze bhare bagh se guzar na kiya
ki jab tak os ke qatron se rah Dhak na gai
main tujh se kaT ke jala shaKH-e-sandalin ki tarah
main rakh ho gaya mujh se teri mahak na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.