nazar udas jigar be-qarar chup KHamosh
nazar udaas jigar be-qarār chup ḳhāmosh
tujhe kahā na abhī sabr yaar chup ḳhāmosh
ye manziloñ ke sabhī vāhime machā.eñ shor
magar hai kis liye har rahguzār chup ḳhāmosh
vo umr bhar ke liye le gayā zabāñ merī
kahā thā us ne kabhī ek baar chup ḳhāmosh
na tū na terī koī baat nā tirī āvāz
samāñ hai aaj bahut sogvār chup ḳhāmosh
abhī samā.ateñ ghāyal haiñ talḳh lafzoñ se
sadā.eñ bhī haiñ baḌī taar taar chup ḳhāmosh
yahī to hai jo satātā mujhe nahīñ tujh sā
ye terā dard baḌā burdbār chup ḳhāmosh
zabāñ phisal ke tirī shaan tujh se chhīnegī
lagām de tū use mere yaar chup ḳhāmosh
'rabāb' koī dilāsa na hausla maujūd
zabān qufl-shuda dil dayār chup ḳhāmosh
nazar udas jigar be-qarar chup KHamosh
tujhe kaha na abhi sabr yar chup KHamosh
ye manzilon ke sabhi wahime machaen shor
magar hai kis liye har rahguzar chup KHamosh
wo umr bhar ke liye le gaya zaban meri
kaha tha us ne kabhi ek bar chup KHamosh
na tu na teri koi baat na teri aawaz
saman hai aaj bahut sogwar chup KHamosh
abhi samaaten ghayal hain talKH lafzon se
sadaen bhi hain baDi tar tar chup KHamosh
yahi to hai jo satata mujhe nahin tujh sa
ye tera dard baDa burdbar chup KHamosh
zaban phisal ke teri shan tujh se chhinegi
lagam de tu use mere yar chup KHamosh
'rabab' koi dilasa na hausla maujud
zaban qufl-shuda dil dayar chup KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.