nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar
nazdīkiyoñ meñ duur kā manzar talāsh kar
jo haath meñ nahīñ hai vo patthar talāsh kar
sūraj ke ird-gird bhaTakne se fā.eda
dariyā huā hai gum to samundar talāsh kar
tārīḳh meñ mahal bhī hai hākim bhī taḳht bhī
gumnām jo hue haiñ vo lashkar talāsh kar
rahtā nahīñ hai kuchh bhī yahāñ ek sā sadā
darvāza ghar kā khol ke phir ghar talāsh kar
koshish bhī kar umiid bhī rakh rāsta bhī chun
phir is ke baa'd thoḌā muqaddar talāsh kar
nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar
jo hath mein nahin hai wo patthar talash kar
suraj ke ird-gird bhaTakne se faeda
dariya hua hai gum to samundar talash kar
tariKH mein mahal bhi hai hakim bhi taKHt bhi
gumnam jo hue hain wo lashkar talash kar
rahta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sada
darwaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar
koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun
phir is ke ba'd thoDa muqaddar talash kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.