nazron se ghubar chhaT gae hain
nazron se ghubar chhaT gae hain
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
nazroñ se ġhubār chhaT ga.e haiñ
chehroñ se naqāb ulaT ga.e haiñ
furqat ke tavīl rāste the
yādoñ se tirī simaT ga.e haiñ
jis rah pe paḌe haiñ tere saa.e
us raah se ham lipaT ga.e haiñ
din kaise kaThin the zindagī ke
kyā jāniye kaise kaT ga.e haiñ
taqsīm hue the kuchh nasībe
kyā kahiye kahāñ pe baT ga.e haiñ
ubhre the bhañvar se kuchh safīne
kyā jaane kahāñ ulaT ga.e haiñ
nazron se ghubar chhaT gae hain
chehron se naqab ulaT gae hain
furqat ke tawil raste the
yaadon se teri simaT gae hain
jis rah pe paDe hain tere sae
us rah se hum lipaT gae hain
din kaise kaThin the zindagi ke
kya jaaniye kaise kaT gae hain
taqsim hue the kuchh nasibe
kya kahiye kahan pe baT gae hain
ubhre the bhanwar se kuchh safine
kya jaane kahan ulaT gae hain
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 167)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.