nazron se noch Dali sab ne qaba gulon ki
nazroñ se noch Daalī sab ne qabā guloñ kī
lāsheñ paḌī huī gulshan meñ pattiyoñ kī
rassī pe chal rahī hai nannhī sī ek guḌiyā
majbūriyāñ haiñ shāyad darpesh roTiyoñ kī
har koī chāhtā hai ghar ghar meñ chāñd utre
chāhat nahīñ kisī ko āñgan meñ titliyoñ kī
aalam panāh kā ab farmān aa gayā hai
āvāz tak na aa.e mahloñ meñ muflisoñ kī
lahje ko aur kitnā nāzuk banā ke boleñ
gintī kareñ kahāñ tak māthe kī silvaToñ kī
tum 'nūr' ko na samjhe tum 'nūr' ko na jaane
shaidā hai āñdhiyoñ kī shauqīn bijliyoñ kī
nazron se noch Dali sab ne qaba gulon ki
lashen paDi hui gulshan mein pattiyon ki
rassi pe chal rahi hai nannhi si ek guDiya
majburiyan hain shayad darpesh roTiyon ki
har koi chahta hai ghar ghar mein chand utre
chahat nahin kisi ko aangan mein titliyon ki
aalam panah ka ab farman aa gaya hai
aawaz tak na aae mahlon mein muflison ki
lahje ko aur kitna nazuk bana ke bolen
ginti karen kahan tak mathe ki silwaTon ki
tum 'nur' ko na samjhe tum 'nur' ko na jaane
shaida hai aandhiyon ki shauqin bijliyon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.