nigah-e-awwalin ki dilistani yaad aati hai
nigāh-e-avvalīñ kī dilistānī yaad aatī hai
kisī nā-mehrbāñ kī mehrbānī yaad aatī hai
qarīb-e-shāḳh-e-gul hotī hai jab dastāñ-sarā bulbul
hameñ bhī bhūlī-bisrī ik kahānī yaad aatī hai
dil-e-nāshādmāñ ko aur bhī nāshād karne ko
dil-e-nāshādmāñ kī shādmānī yaad aatī hai
javānī aur bū-e-gul meñ yā rab kyā ta.alluq thā
ki bū-e-gul se piirī meñ javānī yaad aatī hai
ġhazal ab ḳhatm ho jaatī hai apnī pāñch sheroñ par
javānī aur tabī.at kī ravānī yaad aatī hai
nigah-e-awwalin ki dilistani yaad aati hai
kisi na-mehrban ki mehrbani yaad aati hai
qarib-e-shaKH-e-gul hoti hai jab dastan-sara bulbul
hamein bhi bhuli-bisri ek kahani yaad aati hai
dil-e-nashadman ko aur bhi nashad karne ko
dil-e-nashadman ki shadmani yaad aati hai
jawani aur bu-e-gul mein ya rab kya talluq tha
ki bu-e-gul se piri mein jawani yaad aati hai
ghazal ab KHatm ho jati hai apni panch sheron par
jawani aur tabiat ki rawani yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.