Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-baghban kya kah gai gulha-e-KHandan se

Ahsan Ahmad Ashk

nigah-e-baghban kya kah gai gulha-e-KHandan se

Ahsan Ahmad Ashk

MORE BYAhsan Ahmad Ashk

    nigāh-e-bāġhbāñ kyā kah ga.ī gulhā-e-ḳhandāñ se

    ki uTThā kārvān-e-rang-o-bū sehn-e-gulistāñ se

    madad ai dīda-e-bīnā madad ai tāb-e-nazzāra

    tajallī muskurātī hai naqāb-e-rū-e-jānāñ se

    nasīm-e-sub.h ke jhoñkoñ se kyā khaTkā bhalā us ko

    mirī sham-e-tamannā vo hai jo laḌtī hai tūfāñ se

    ma.āz-allāh sahrā shab-e-tārīk-o-tūfānī

    musāfir ḳhud na jal jaa.e charāġh-e-zer-e-dāmāñ se

    laraz uThtā huuñ bedārī meñ yuuñ taḳh.īl-e-ishrat par

    ki jaise chauñk uThtā ho koī ḳhvāb-e-pareshāñ se

    junūñ tarbiyat kar 'ashk' ye nang-e-mohabbat hai

    kisī raaz rusvā ho tire chāk-e-garebāñ se

    nigah-e-baghban kya kah gai gulha-e-KHandan se

    ki uTTha karwan-e-rang-o-bu sehn-e-gulistan se

    madad ai dida-e-bina madad ai tab-e-nazzara

    tajalli muskuraati hai naqab-e-ru-e-jaanan se

    nasim-e-subh ke jhonkon se kya khaTka bhala us ko

    meri sham-e-tamanna wo hai jo laDti hai tufan se

    maaz-allah sahra ki shab-e-tarik-o-tufani

    musafir KHud na jal jae charagh-e-zer-e-daman se

    laraz uThta hun bedari mein yun taKHil-e-ishrat par

    ki jaise chaunk uThta ho koi KHwab-e-pareshan se

    junun ki tarbiyat kar 'ashk' ye nang-e-mohabbat hai

    kisi ka raaz ruswa ho tere chaak-e-gareban se

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now