nigah-e-dil se jo guzra to phir sitara hua
nigāh-e-dil se jo guzrā to phir sitāra huā
vo chāñd mere suḳhan kā jo isti.āra huā
tumhāre diid se pahle vo ek manzar thā
tumhārī aañkh ne dekhā to ik nazāra huā
zamīn-e-dil pe suḳhan kā nuzūl hotā rahā
kisī nazar ke hunar kā jūñhī ishāra huā
suḳhan ye shab kā guzārī huī vo sub.h-e-visāl
hayāt-e-husn kā itnā hī goshvāra huā
vo rang-sāz rahā ġharq fikr-e-rangīñ meñ
vo husn-e-zīst meñ ik dil-nashīñ idāra huā
vo yuuñ tulūa huā le ke aks-e-tābinda
ki jaise jhiil meñ ik chāñd ho utārā huā
vo shāhzāda mohabbat ke pairahan meñ Dhalā
vo ḳhud-sarī-o-anā-o-ġhurūr haarā huā
nigah-e-dil se jo guzra to phir sitara hua
wo chand mere suKHan ka jo istiara hua
tumhaare did se pahle wo ek manzar tha
tumhaari aankh ne dekha to ek nazara hua
zamin-e-dil pe suKHan ka nuzul hota raha
kisi nazar ke hunar ka junhi ishaara hua
suKHan ye shab ka guzari hui wo subh-e-visal
hayat-e-husn ka itna hi goshwara hua
wo rang-saz raha gharq fikr-e-rangin mein
wo husn-e-zist mein ek dil-nashin idara hua
wo yun tulua hua le ke aks-e-tabinda
ki jaise jhil mein ek chand ho utara hua
wo shahzada mohabbat ke pairahan mein Dhala
wo KHud-sari-o-ana-o-ghurur haara hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.