nigah-e-husn ki tasir ban gaya shayad
nigāh-e-husn kī tāsīr ban gayā shāyad
ḳhayāl-e-zehn meñ zanjīr ban gayā shāyad
vo ek naam jo tum ne miTā diyā hai abhī
jabīn-e-vaqt pe tahrīr ban gayā shāyad
mirī nigāh meñ nā-mo'tabar thā jis kā vajūd
vo fāsla mirī taqdīr ban gayā shāyad
ḳhud apnā chehra bhī ab to nazar nahīñ aatā
har aa.ina tirī tasvīr ban gayā shāyad
rah-e-ḳhulūs meñ fitrat thī jis kī mustahkam
vo sañg-e-mīl bhī rahgīr ban gayā shāyad
nigah-e-husn ki tasir ban gaya shayad
KHayal-e-zehn mein zanjir ban gaya shayad
wo ek nam jo tum ne miTa diya hai abhi
jabin-e-waqt pe tahrir ban gaya shayad
meri nigah mein na-mo'tabar tha jis ka wajud
wo fasla meri taqdir ban gaya shayad
KHud apna chehra bhi ab to nazar nahin aata
har aaina teri taswir ban gaya shayad
rah-e-KHulus mein fitrat thi jis ki mustahkam
wo sang-e-mil bhi rahgir ban gaya shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.