nigah-e-KHak! zara pairahan badalna to
nigāh-e-ḳhāk! zarā pairāhan badalnā to
vabāl-e-rūh mirā ye badan badalnā to
haqīqatoñ ke safar meñ bahut akelī huuñ
majāz-e-ishq! zarā bāñkpan badalnā to
junūñ ke bojh se thakne lagā zamān o ḳhalā
ġharīb-e-shauq zarā phir vatan badalnā to
nayā mile to koī zā.iqa tamannā ko
dil-e-tabāh mirī ye jalan badalnā to
sulag rahī huuñ abhī bhī magar mazā hī nahīñ
sarāb-e-nāz ġhamoñ kī agan badalnā to
nigah-e-KHak! zara pairahan badalna to
wabaal-e-ruh mera ye badan badalna to
haqiqaton ke safar mein bahut akeli hun
majaz-e-ishq! zara bankpan badalna to
junun ke bojh se thakne laga zaman o KHala
gharib-e-shauq zara phir watan badalna to
naya mile to koi zaiqa tamanna ko
dil-e-tabah meri ye jalan badalna to
sulag rahi hun abhi bhi magar maza hi nahin
sarab-e-naz ghamon ki agan badalna to
- Book : jalti havaa ka giit (Pg. 156)
- Author : sarvat zehra
- Publication : urdu aart intarnational,urdu bazar karachi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.