nigah-e-mehr se dekho na gham-zada dil ko
nigah-e-mehr se dekho na gham-zada dil ko
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
nigāh-e-mehr se dekho na ġham-zada dil ko
banāo aur na mushkil hamārī mushkil ko
zamāna qatl huā aur vo rahī pyāsī
gilā hai abrū-e-qātil se teġh-e-qātil ko
mire ḳhayāl ne ḳhalvat ko kar diyā mahfil
tirī nigāh ne ḳhalvat banāyā mahfil ko
na jaane dil kā tujhe kuchh ḳhayāl hai ki nahīñ
tirā ḳhayāl to vaj.h-e-nashāt hai dil ko
nishān-e-manzil-e-maqsūd pā hī jā.egā
vo rah-navard ki madfan banā de manzil ko
jilā de barq jo hāsil se hai yahī hāsil
ki ḳhauf-e-barq se hāsil na ho sukūñ dil ko
kahāñ se aa.ī ye hairat nigāh-e-'beḳhud' meñ
ki us ko dekh ke sakta hai ahl-e-mahfil ko
nigah-e-mehr se dekho na gham-zada dil ko
banao aur na mushkil hamari mushkil ko
zamana qatl hua aur wo rahi pyasi
gila hai abru-e-qatil se tegh-e-qatil ko
mere KHayal ne KHalwat ko kar diya mahfil
teri nigah ne KHalwat banaya mahfil ko
na jaane dil ka tujhe kuchh KHayal hai ki nahin
tera KHayal to wajh-e-nashat hai dil ko
nishan-e-manzil-e-maqsud pa hi jaega
wo rah-naward ki madfan bana de manzil ko
jila de barq jo hasil se hai yahi hasil
ki KHauf-e-barq se hasil na ho sukun dil ko
kahan se aai ye hairat nigah-e-'beKHud' mein
ki us ko dekh ke sakta hai ahl-e-mahfil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.