nigah-e-naz ke maron ka haal kya hoga
nigāh-e-nāz ke māroñ kā haal kyā hogā
na bach sake to bechāroñ kā haal kyā hogā
hamīñ ne ishq ke qābil banā diyā hai tumheñ
hamīñ na hoñ to nazāroñ kā haal kyā hogā
hamāre husn kī bijlī chamakne vaalī hai
na jaane aaj hazāroñ kā haal kyā hogā
bahār-e-husn salāmat ḳhizāñ se pūchh zarā
ki chaar din meñ bahāroñ kā haal kyā hogā
ham apne chehre se parda uThā to deñ lekin
ġharīb chāñd-sitāroñ kā haal kyā hogā
nigah-e-naz ke maron ka haal kya hoga
na bach sake to bechaaron ka haal kya hoga
hamin ne ishq ke qabil bana diya hai tumhein
hamin na hon to nazaron ka haal kya hoga
hamare husn ki bijli chamakne wali hai
na jaane aaj hazaron ka haal kya hoga
bahaar-e-husn salamat KHizan se puchh zara
ki chaar din mein bahaaron ka haal kya hoga
hum apne chehre se parda uTha to den lekin
gharib chand-sitaron ka haal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.