nigah-e-naz ko KHud-bin bana ke aaya hun
nigāh-e-nāz ko ḳhud-bīñ banā ke aaya huuñ
ḳhud apnī raah meñ kāñTe bichhā ke aaya huuñ
jahāñ pe hotā hai lutf-o-karam se dil kā shikār
muqaddar apnā vahāñ aazmā ke aaya huuñ
sitam kī puurī kahānī firāq kā qissa
lab-e-ḳhamosh se un ko sunā ke aaya huuñ
na aas toḌ ki zālim maiñ tere qadmoñ meñ
tamām daulat-e-duniyā luTā ke aaya huuñ
jahāñ pe luTtī hai duniyā-e-ārzū 'sāhir'
vahāñ maiñ jaan kī baazī lagā ke aaya huuñ
nigah-e-naz ko KHud-bin bana ke aaya hun
KHud apni rah mein kanTe bichha ke aaya hun
jahan pe hota hai lutf-o-karam se dil ka shikar
muqaddar apna wahan aazma ke aaya hun
sitam ki puri kahani firaq ka qissa
lab-e-KHamosh se un ko suna ke aaya hun
na aas toD ki zalim main tere qadmon mein
tamam daulat-e-duniya luTa ke aaya hun
jahan pe luTti hai duniya-e-arzu 'sahir'
wahan main jaan ki bazi laga ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.