nigah-e-sharmagin se jab mohabbat baT rahi hogi
nigāh-e-sharmagīñ se jab mohabbat baT rahī hogī
na jaane us ghaḌī kis kis kī bigḌī ban ga.ī hogī
vo aalam kaun sā hogā vo duniyā kaun sī hogī
jahāñ hadd-e-nazar tak zindagī hī zindagī hogī
isī sūrat se shāyad zindagī-e-ġham sañvar jaa.e
mire haq meñ tumhārī dushmanī bhī dostī hogī
mujhe barbād kar ke bhī na hogī mehrbāñ mujh par
ḳhabar kyā thī nigāh-e-nāz itnī matlabī hogī
taġhāful kā tumhāre ab yahī anjām honā hai
tamāshā merī barbādī kā duniyā dekhtī hogī
tasavvur se bhī us ke kāñpne lagtā hai dil merā
judā.ī kī ghaḌī bhī kis qayāmat kī ghaḌī hogī
vahī vaqt hogā ai 'sāhir' vafā kī kāmyābī kā
har ik shai meñ unheñ mahsūs jab merī kamī hogī
nigah-e-sharmagin se jab mohabbat baT rahi hogi
na jaane us ghaDi kis kis ki bigDi ban gai hogi
wo aalam kaun sa hoga wo duniya kaun si hogi
jahan hadd-e-nazar tak zindagi hi zindagi hogi
isi surat se shayad zindagi-e-gham sanwar jae
mere haq mein tumhaari dushmani bhi dosti hogi
mujhe barbaad kar ke bhi na hogi mehrban mujh par
KHabar kya thi nigah-e-naz itni matlabi hogi
taghaful ka tumhaare ab yahi anjam hona hai
tamasha meri barbaadi ka duniya dekhti hogi
tasawwur se bhi us ke kanpne lagta hai dil mera
judai ki ghaDi bhi kis qayamat ki ghaDi hogi
wahi waqt hoga ai 'sahir' wafa ki kaamyabi ka
har ek shai mein unhen mahsus jab meri kami hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.